Shayad
Shayad… main kahin gum ho gaya hoon,
Jitna sochta hoon, utna hi andar doobta chala jaata hoon…
Kai martaba apni baat arz ki thi,
Magar lagta hai us waqt bhi rooh kahin aur bhatak rahi thi…
Kya laazim hai ke har dafa main hi bayan karun?
Kya har zakhm ka izhaar mera hi farz hai?
Ek dafa… sirf ek dafa…
Tum bhi kuch keh deti to kya bigad jaata?
Aur ab…
Shayad main dheere-dheere
Khud se hi juda hota jaa raha hoon…
Comments
Post a Comment