After a long-time
Kai dino baad dekho, aaj dhoop nikli hai,
Neel aasman ke daaman mein, suraj muskuraya hai —
Jaise teri ek jhalak, jo dil ko roshan kar jaati hai...
Tumhare kaale baalon ke saaye se dhanka chehra,
Tumhari wo halki si muskurahat,
Wo sharmaana, wo ithlaana, wo nakhre —
Sab yaad hai mujhe...
Tum kyun nahi aa jaati wapas?
Haan, galti meri thi — maine tumhe samjha nahi...
Par galtiyon se seekhna hi to mohabbat ka sabak hai na jaan...,
Ab maaf bhi kar do...
Ab laut bhi aao na...
Comments
Post a Comment