๐ซค๐ฎ๐จ๐ค
๐ฎ๐จ๐ฎ๐จ
Main kya kar raha hoon, kyun kar raha hoon, kya soch raha hoon, kya plan hai, kya chahta hoon... mere mann mein kya chal raha hai—mujhe kuch samajh nahi aa raha hai.
Raat ko der tak jagta hoon, na padh raha hoon, na kahin bahar ja raha hoon. Main kisse kya bol raha hoon, mujhe kuch samajh nahi aa raha. Main itna kyun soch raha hoon, aakhirkar main chahta kya hoon—ye bhi samajh nahi aa raha.
Jyada kisi se baat nahi kar paata, aisa nahi hai ki karna nahi chahta, par log nahi milte. Waise bhi, kisko kya bataun? Samajh mein hi nahi aata.
Koi poochhe, "Kaise ho? Kaisi chal rahi hai padhai?" to main unse jhooth bol raha hoon. Main bol hi kyun raha hoon? Main keh kyun nahi deta?
Naa jaane ye sab isi time pe kyun hona tha... Mera mann kahin aur hai, dhyan kahin aur hai... Main chahta kuch aur hoon, aur ho kuch aur raha hai.
Ab to ye bhi samajh nahi aa raha ki jo kar raha hoon, wo sahi bhi hai ya nahi...
Raat ko der tak jagna aur unn kaale aasmaanon mein sitaaron ke beech apni zindagi ko dhoondhna, apne mann ki shanti ko dhoondhna... Us chand ko dekh kar aage badhne ki khwahish, par naa jaane kyun wo poori hi nahi hoti.
Mujhe pata hai, koi bhi cheez plan ke according nahi hoti. Hume pata hota hai ye sab ho sakta hai, par phir bhi hum hamesha bharose pe rehte hain...
Ye ek sahi umar nahi hai ye sab kehne ki. Mujhe kya hi pata hai? Main to abhi sirf 17 saal ka hoon, abhi 18 ka bhi nahi hua. Phir bhi shayad ye sab kismat ki baat hai.
Maine wo sab dekh liya hai, jo shayad mere dadaji aur unke dadaji ne bhi nahi dekha hoga.
Par pata nahi kyun, mujhe kabhi samajh nahi aata ki ye sab ho kyun raha hai... Jab bhi zyada gussa aata hai, main hasne lagta hoon.
Shayad isliye, kyunki mujhe samajh nahi aata ki kya karna hai...
Ho sakta hai, pata nahi...
Mere mann mein kya chal raha hai?
Main kya soch raha hoon? Kya kar raha hoon?
Pata nahi... Ye sab kab khatam hoga...
✨ Raat ke aage sooraj bhi bekaar sa lagta hai, ๐๐ซ
Har din bas ek naya intezaar sa lagta hai… ⏳
Sochta hoon sab kuch theek ho jayega, ๐ค
Par har faisla ek naye imtihaan sa lagta hai… ๐๐ญ
Relatable ๐
ReplyDelete