Posts

Showing posts from November, 2025

After a long-time

Kai dino baad dekho, aaj dhoop nikli hai, Neel aasman ke daaman mein, suraj muskuraya hai — Jaise teri ek jhalak, jo dil ko roshan kar jaati hai... Tumhare kaale baalon ke saaye se dhanka chehra, Tumhari wo halki si muskurahat, Wo sharmaana, wo ithlaana, wo nakhre — Sab yaad hai mujhe... Tum kyun nahi aa jaati wapas? Haan, galti meri thi — maine tumhe samjha nahi... Par galtiyon se seekhna hi to mohabbat ka sabak hai na jaan..., Ab maaf bhi kar do... Ab laut bhi aao na...

Shayad

Shayad… main kahin gum ho gaya hoon, Jitna sochta hoon, utna hi andar doobta chala jaata hoon… Kai martaba apni baat arz ki thi, Magar lagta hai us waqt bhi rooh kahin aur bhatak rahi thi… Kya laazim hai ke har dafa main hi bayan karun? Kya har zakhm ka izhaar mera hi farz hai? Ek dafa… sirf ek dafa… Tum bhi kuch keh deti to kya bigad jaata? Aur ab… Shayad main dheere-dheere Khud se hi juda hota jaa raha hoon…