👉👈🥺
Ek yaadon se bhari raat hogi... 🌙🥀 Tera haath mere haath me hoga... ✨ Wahi purani milne ki jagah hogi, Wahi purani yaadein hongi… 💭💔 Par is baar na tu kuch kehna, Na mai kuch kahunga… Aaj baatein sirf hamari aankhein karne dena… 👀✨ Lana saath ek kagaz aur ek kalam, Main bhi launga ek kagaz aur kalam… 📝💙 Beshak baatein hamari aankhein karengi, Par jo gile-shikwe hain, unko likhna tum uss kagaz pe… 💭💔 Main bhi likhunga, magar is baar jhagde nahi honge, Ek naav banayenge usi kagaz ki… 🚣♂️💙 Aur uss naav ko behne denge uss nadhi me, Jitna wo aage badhegi, utne hi dukh mit jayenge… 💦🚢 Ek nayi shuruaat karenge… Bina shikwa, bina gila kee… 💙✨